Raah dekhi thi is din ki naajane kabse
aage ke sapne saja rakhe the kab se
Bade utavle the yahaan se jaane ko
Zindagi ka agla padaav paane ko
par naa jane kyon ..dil mein aaj kuch aur aata hai
waqt ko rokne ka jee chahta hai.
jin baton ko lekar rote the, aaj un par hansi aati hai
na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai
kahi ankahi hazaaron batein reh gayi
na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi
mera sir khane kaun mera peecha karega.
Lectures ke liye timings change karvana, aur sab ko sms se batana,
phir bhi sab ka lectures bunk marna!! na chahte huye bhi muskurana!!
jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega
kaun raat bhar saath jag kar padega
KAUN MERA lunch khane ke liye interzaar karega
kaun mere naye naye naam banayega
mein ab bina matlab kis se ladoongi
bina topic ke kisse faalto baat karoongi
architect canteen mein coffee kis ke saath piyoongi
wo haseen pal ab kis ke saath jiyoongi
aise dost kahaan milenge, jo khai mein bhi dhakka de aayein
par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein
achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna
na jaane ye fir kab hoga, keh do doston ye dobaara sab hoga
doston ke liye professor se kab lad payenge
kya hum ye fir kar payenge
kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega
aur jyada hawa mein udne par zameen pe layega
meri khushi mein sach mein khush kaun hoga
mere gam mein mujh se jyada dukhi kaun hoga
meri ye kavita kaun padega, kaun isse sach mein samjega
bahut kuch likhna abhi baaki hai, kuch saath shayad baaki hai
bas ek baat se dar lagta hai doston, hum anjnabi na ban jayein doston
zindagi ke rangon mein dosti ka rang feeka na pad jaye
kahin aisa na ho doosre rishton ki bheed mein dosti dum tod jayye
zindagi mein milne ki fariyaad karte rehna
agar na mil sakein to kam se kam yaad karte rehna
chahe jitna haslo aaj mujh par, mein bura nahi manoogi
is hansi ko apne dil mein basa loongi, aur jab yaad aayegi tumhari
yahi hansi lekar thoda muskura loongi!!!
